First we talk about Lower chitral.
Lower Chitral Well developed area hay Upper Chitral ki Nisbat yaha ki Pupolation bhi zada hay or yaha par kayee baray baray kaaroobari marakiz bhi hain, is k ilaawa Govt k kayee idaaray like schools, colleges, University or bay shumaar dusre idaray sargarme amal hain, yaha per taqreeban her zarrooriaate zindgee mayassar hotay hain, Qudrati fresh hawa, tazaa meetha or thanda paani, bay shumaar qisum k laa tedaad phal maivay yaha k logon k asaasay yani Atiaye khudawendi hain.Algharaz yaha ki poori enviorment daikhnay k baad ap ko shayad na lagay k aap Chitral aye hain ya Kisi well developed city main mavjood hain, kion k yaha transport say le kar Assorted markets say lekar hatta k logon ki living style, residential Buildings/Hoses or sarkari wa neem sarkari idaron tak ap ko sheher jaisi enviroment nazar aaye gi
No comments:
Post a Comment